nazakat hai na KHushbu aur na koi dilkashi hi hai

nazakat hai na khushbu aur na koi dilkashi hi hai
gulon ke sath phir bhi khar ko rab ne jagah di hai

kisi ki yaad chupke se chali aati hai jab dil mein
kabhi ghunghru se bajte hain kabhi talwar chalti hai

wahi karte hain dawa aag nafrat ki bujhane ka
ki jin ke hath mein jalti hui machis ki tili hai

hato karne do apne man ki bhi in naujawanon ko
ye in ka daur hai in ka samay hai in ki bari hai

ghutan tadpan udasi ashk ruswai akela-pan
baghair in ke adhuri ishq ki har ek kahani hai

kabhi bachchon ko mil kar khilkhilate nachte dekha
laga tab zindagi ye hum ne kya se kya bana li hai

utar aae hain baadal yaad ke aankhon mein yun 'niraj'
zamin jo kal talak thi khushk ab wo bhigi bhigi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close