shabnam se likhun ashkon se likhun main dil ki kahani kaise likhun phulon pe likhun hathon pe likhun honton ki zabani kaise likhun har samt yahan hai ret abhi kis tarah chalun ta-umr yahan is ret pe bante naqsh nahin ab apni nishani kaise likhun ye uljhan to bas uljhan hai kuchh pana hai kuchh khona hai sahil ki tamanna karte hue maujon ki rawani kaise likhun kyun ret pe dhundhte phirte ho ab hath na aaega ye sarab ye baat haqiqat hai lekin main dil ki zabani kaise likhun hain dil ki baaten yun to bahut kuchh kahna hai kuchh sunna hai is kaghaz ke ek tukde par main apni kahani kaise likhun har daur naya hai baat nai mayus nahin hai phir bhi 'kiran' in bichhde hue andhiyaron ki hai baat purani kaise likhun