nazar aasuda-kaam-e-raushni hai mere aage sarab-e-agahi hai zamanon ko mila hai soz-e-izhaar wo saat jab khamoshi bol uthi hai hansi si ek lab-e-zauq-e-nazar par shafaq-zar-e-tahayyur ban gai hai zamane sabz o surkh o zard guzre zamin lekin wahi khakistari hai pighalta ja raha hai sara manzar nazar tahlil hoti ja rahi hai dhundlakon ko andhere chat lenge ki aage ahd-e-marg-e-raushni hai bikharte karwan ye irtiqa ke sarasima sa zauq-e-zindagi hai main dekhun to dikha dunga tumhein 'saz' abhi mujh mein basirat ki kami hai