zer-e-zamin dabi hui khak ko aasan kaho harf-e-kharab-o-khasta ko zid hai ki dastan kaho aab-e-siyah pher do bab-e-wafa ke naqsh par shahr-e-ana mein jab kabhi qissa-e-digaran kaho kaun sharik-e-dard tha aatish-e-sard ke siwa rakh haqir thi magar rakh ko mehrban kaho dur khala ke dasht mein misl-e-sharar sabt hain kis ne unhen khafa kiya kyun hue bad-guman kaho sang-e-saza ka khauf bhi bistar-e-jaan se uth gaya saltanat-e-jalal ko tuti hui kaman kaho aaina-e-sarab hai gard pas-e-habab hai thahri hui hai zindagi phir bhi ise rawan kaho sham hui to jal uthe raat dhali to bujh gae hum bhi yunhi fana hue hum ko bhi raegan kaho