nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang zulmat-e-gor se bad-tar hai shab-e-tar ka rang ud gaya zoaf-e-maraz se rukh-e-bimar ka rang de do thoda sa tum apne gul-e-rukhsar ka rang hashr mein rahmat-e-dawar ne jo nazren dalin ho gaya surkh wahin ru-e-gunahgar ka rang fasl-e-mai aane do phir hai ye hamara zimma ho gulabi na agar shaikh ki dastar ka rang halqe aankhon mein pade murdani munh par chhae nazar aata nahin achchha tere bimar ka rang tum dikha do jo zara aariz-e-gulgun ki bahaar to badal jae abhi chehra-e-bimar ka rang araq-e-sharm-e-gunah ashk-e-nadamat se 'shahir' saf ho jata hai sab ru-e-siyahkar ka rang