qarar se rahen kya shokh-e-be-hijab kahin thahar saka hai kisi waqt aaftab kahin hifazat aap karen apni naujawani ki na lut le koi ye daulat-e-shabab kahin ye kaisi tirgi mai-khane mein hai be-saqi subu pade hain kahin saghar-e-sharab kahin haram mai-kade ki hai halal kausar ki kahin azab hai baada-kashi sawab kahin wo apne josh-e-jawani mein aap hain sarmast sharab se hai siwa nashsha-e-shabab kahin bas ek raat ki mehman naujawani thi khuli jo aankh na tha subh ko shabab kahin 'shahir' dad-e-wafa aur husn walon se ye wo sawal hai jis ka nahin jawab kahin