nazar aate nahin hain bahr mein hum

nazar aate nahin hain bahr mein hum
yani rahte hain apni lahr mein hum

khul rahe hain bandhe hue pul se
ghul rahe hain khud apne zahr mein hum

hai qafas bhi tilism-khana-e-khwab
aa gae ek aur shahr mein hum

kisi zindan mein sochna hai abas
dahr hum mein hai ya ki dahr mein hum

ho gai raat so len kuchh sardar
jag utthenge pichhle pahr mein hum

hum hain maqtal mein aur qatil gham
kaise lae gae the qahr mein hum

ab jagaegi yaad us ki 'zafar'
chhod aae jo nind nahr mein hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close