wasl arzan waqt ki lekin farawani gai

wasl arzan waqt ki lekin farawani gai
badh gai jitni suhulat utni aasani gai

masiyat ka zikr kya hai masiyat pahle bhi thi
ranj to ye hai gunahon se pashemani gai

ishq bhi dil se kiya jogi bane wahshat bhi ki
kya hua kuchh to kaho kya waz-e-haiwani gai

ek lamba fasla hai jaan se pahchan tak
shakl jo jaani gai wo bhi na pahchani gai

pahle bhi sailab aate the magar kya is qadar
ab ke to barsat mein har fasl barani gai

zer-e-lab ek lafz ne kaisa hamein chaunka diya
pal hi pal mein 'khanqahi' sab hama-dani gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close