nazar aati hai dur ki surat aankh mein hai huzur ki surat ek ye bhi hai nur ki surat dekh li sham-e-tur ki surat kyun na ho jaan ka azab ye jism tang zindan qubur ki surat sar-e-turbat koi hai fitna-e-hashr hui paida futur ki surat khanqa mein pari thi shishe ki ban ke aai jo hur ki surat aa gaya kya su-e-qafas sayyaad ho gai kya tuyur ki surat phirti hai aankh mein ba-sad-hasrat ab dil-e-na-subur ki surat ek hai ek kibriyai mein uf wo us ke ghurur ki surat hashr-za uf wo sur ki aawaz wo sarafil-o-sur ki surat badh talwar ki siraat ka pul aur mushkil ubur ki surat shoala-zar ek lala-zar hai ek samne nar-o-nur ki surat muztarib apne haal par har ek hae har na-subur ki surat fard-e-isyan nawishta-e-taqdir hae har be-qusur ki surat aas us ke karam ki qahr ka dar jo ho rabb-e-ghafur ki surat ai main qurban shan-e-rahmat ke nazar aai huzur ki surat kis ko parwa-e-kausar-o-tasnim hui paida surur ki surat sadqe kya jald hashr mein badli mujh sarapa qusur ki surat ho mubarak siyahkar 'riyaz' nur ki shakl nur ki surat