wo mere pas hai kya pas bulaun us ko dil mein rahta hai kahan dhundne jaun us ko aaj phir pahli mulaqat se aaghaz karun aaj phir dur se hi dekh ke aaun us ko qaid kar lun use aankhon ke nihan-khane mein chahta hun ki kisi se na milaun us ko use duniya ki nigahon se karun main mahfuz wo wahan ho ki jahan dekh na paun us ko chalna chahe to rakhe panw mere sine par baithna chahe to aankhon pe bithaun us ko wo mujhe itna subuk itna subuk lagta hai kabhi gir jae to palkon se uthaun us ko mujhe malum hai aakhir ko juda hona hai lekin ek bar to sine se lagaun us ko yaad se us ki nahin khali koi bhi lamha phir bhi darta hun kahin bhul na jaun us ko mujh pe ye raaz isi ek hawale se khula baat us ki hai magar kaise bataun us ko ye mera dil mera dushman mera diwana dil chahta hai ki sabhi zakhm dikhaun us ko aaj to dhup mein tezi hi bahut hai warna apne sae se bhi 'shahzad' bachaun us ko