nazar ab farigh-ul-baali ke aate hain nahin sae hamari tang-dasti ne kahan tak panw phailae ghazab hai ye kisi ki aarzu par os pad jae irada muskurane ka kare aur aankh bhar aae bashar majbur ho kar hi to pi jata hai aansu ko agar aisa na ho to kya khushi se koi gham khae meri tar-damani par zahidan-e-khushk hanste hain main nazan us ki rahmat par ye sajdon par hain itrae agar kuchh lutf pine ka uthana hai to ai rindo chale us waqt daur-e-jam jab kali ghata chhae daraazi-e-shab-e-gham ki shikayat ke ewaz hamdam agar kuchh aap-biti hi kahen to raat kat jae safar tanha hi karte hain adam ka ai 'riyazi' sab na sath ahbab dete hain na hamdam aur hamsae