nazar bacha ke nazar se guzar gaya wo shakhs mere wajud mein lekin utar gaya wo shakhs jo zindagi ki alamat tha ek zamane se suna hai aaj khud apne mein mar gaya wo shakhs kahin bhi kam na hua us ka dard-e-tanhai samundaron se bhi pyasa guzar gaya wo shakhs na jaane kab se sanbhaale hue tha jo khud ko na jaane aaj ye kaise bikhar gaya wo shakhs tulua-e-dard hua aaftab-e-nau ki tarah shab-e-alam ki faza mein nikhar gaya wo shakhs sajae ashk zamane ke apni aankhon mein magar khud apne tabassum se dar gaya wo shakhs pukarti thi use be-charagh rahguzar tamam karke jab apna safar gaya wo shakhs har ek chehra hai be-chehragi ka aaina abhi jo 'badr' yahan tha kidhar gaya wo shakhs