nazar bacha ke wo hum se guzar gae chup-chap abhi yahin the na jaane kidhar gae chup-chap hui khabar bhi na hum ko kab aae aur gae nigah-e-naz se dil mein utar gae chup-chap dikhai ek jhalak aur ho gae ru-posh tamam khwab achanak bikhar gae chup-chap ye dekhne ke liye muntazir hain kya wo bhi dayar-e-shauq mein hum bhi thahar gae chup-chap karenge aisa wo is ka na tha hamein ehsas wo qaul-o-feal se apne mukar gae chup-chap fasil-e-shahr ke bahar nahin kisi ko khabar bahut se ahl-e-hunar yunhi mar gae chup-chap dikha rahe the hamein sabz bagh wo ab tak unhen jo karna tha 'barqi' wo kar gae chup-chap