tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga abru ki shikayat dam-e-khanjar se kahunga ham-rang-e-shama ishq mein tere hun wa-lekin ye soz-e-jigar aatish mujmar se kahunga dekha hun main jis roz se tujh husn ka jhalka hai dil mein kabhi jama-e-anwar se kahunga tangi jo tere pista-dahan ki hai sarasar sar-basta sukhan ghuncha-e-jauhar se kahunga sairab na hun tujh lab-e-shirin se agar main ye tishna-labi chashma-e-kausar se kahunga bujha hai 'alim' aaj ki hai husn ka tu ganj ye khush-khabari aashiq-e-be-zar se kahunga