nazar bhar ke yun jo mujhe dekhta hai bata bhi de mujh ko ki kya sochta hai mohabbat nahin jaise kya kar liya ho zamana mujhe is qadar tokta hai december ki sardi hai us ke hi jaisi zara sa jo chhu le badan kanpta hai lagaya hai dil bhi to patthar se main ne meri zindagi ki yahi ek khata hai jise dekh ke gham bhi rasta badal de wo chehra na jaane kahan lapata hai koi baat dil mein yaqinan hi hai jo wo milte hue ghaur se dekhta hai usi ki gali ka koi ek ladka mohabbat ka mujh se hunar puchhta hai na dhundho kahin bhi milunga yahin pe ye ujdi haweli hi mera pata hai koi farq padta nahin 'mit' ko ab jahan us ke bare mein kya sochta hai