nazar jab se kisi ki mehrban malum hoti hai ye duniya gulsitan-dar-gulsitan malum hoti hai saza har jurm ki manzur hai mujh ko magar ye kya ki har laghzish pe fitrat ham-zaban malum hoti hai wahan apna safina le chali hun main dubone ko jahan har mauj bahr-e-be-karan malum hoti hai gae wo din ki lutf aata tha kanton se ulajhne mein hansi bhi ab to phulon ki garan malum hoti hai ye kis jannat mein le aaya hai paiman-e-wafa dil ko ki har surat yahan aaram-e-jaan malum hoti hai jo guzri hai kisi ke sath is umr-e-do-roza mein wo saat naz-e-umr-e-jawedan malum hoti hai