zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makan bhi hai ishq hamein un se nahin jin ka guman bhi jo jism ke zarron mein khuda dhund rahi hai yusuf ki zulekha mein hai wo ruh-e-tapan bhi is mohr-e-khamoshi mein nihan ruh-e-takallum is soe hue shahr ki hai apni zaban bhi har lahr ke sine se lipatta hai mera dil manjdhaar ke is par ho sahil ka nishan bhi kyon waqt ki lahren mujhe le jaen kisi or daim dil-e-dariya hun main maujon mein rawan bhi hum zist ki sarhad pe mile maut se lekin hai dasht-e-talab bhi wahi aur manzil-e-jaan bhi