nazar jhuki hai ye sar tumhaara agar jhuka hai nazar se girne ke baad koi kahan utha hai yaqin nahin gar labon ko izn-e-kalam de ab tumhaare honton pe nam mera kahin ruka hai asir-zade sabhi qafas ke himayati hain ghulam-zade rahenge aakhir yahi saza hai khudara tohmat laga nahin main wahan nahin tha jahan qabila teri anaon ka ja luta hai dua ke pardon mein dard ginne laga to dekha ki dard-e-ishqan har ek dukh mein chhupa hua hai bhala main dagh-e-mafariqat ki misal kya dun ye dagh jis ko laga wo suli chadha diya hai kuchal hi dala hai dard-e-hijran ki aahaton ne mere khayalon ne wasl-lamha agar buna hai ghazal gawah hai koi nahin hai tumhaara sani 'khalil' tera sukhan takhayyul se mawara hai