dil mein umang aur irada koi to ho be-kaif zindagi mein tamasha koi to ho ye kya ki dafn ho gae chup-chap qabr mein marne ke baad maut ka jalsa koi to ho koi to nam le ke pukare hamein yahan is bhid mein hamara shanasa koi to ho milti nahin hai khak kahin sar pe dalne dariya bahut se dekhe hain sahra koi to ho aankhon mein nur hai na halawat zaban mein ahbab itne sare hain mitha koi to ho baaton se aql-o-fahm ki tang aa chuka hun main danish-kade mein ek diwana koi to ho ye sach hai main hun qaid khayalon mein khwab mein jine ke waste mere duniya koi to ho mar kar dawam panw ye ummid to nahin meri kahani baad mein kahta koi to ho