nazar jo aata hai bahar mein kab wo andar hun main aadmi hun kahan aadmi ka paikar hun raha jo bhid mein bhi mushfiqon ki sar-afraaz khuda-gawah mein waisa hi ek masdar hun safina koi salamat na rah sakega ab qasam-khuda-ki main biphra hua samundar hun ye aur baat ki tum ko main yaad aa na saka wagarna aaj bhi mahfil mein har zaban par hun thi meri zat kabhi kaenat ka mehwar hisar-e-zat mein lekin main aaj shashdar hun dilon ke band dariche bhi jis se khul jaen jo padh sako to padhe jao main wo mantar hun jo padh sake na mera chehra bhi wo khud-bin tum jo dard lamhon ka samjhe main wo qalandar hun