chhoti chhoti baaton mein aankhen bhar aati hain ya to hum thode pagal hain ya jazbaati hain sachcha jhuta nek aur bad hain mere taaruf sab ek hi jism mein kitni ruhen gasht lagati hain suna hai us talab ka pani bada nashila hai suna hai us mein pariyan aa kar roz nahati hain kuchh to dard diye hain mujh ko duniya walon ne lekin kuchh aise gham hain jo mere zati hain is bartan ka maila pani amrit jaisa hai is mein nannhi chidiyan aa kar pyas bujhati hain aa pahuncha hun tanhai ke aise jangal mein jis mein khud apni aawazen laut ke aati hain chikhti rahti hain khamoshi mere honton par jis tarah sahil par lahren shor machati hain shahr mein aa kar bhi hum apni mitti kab bhule fakhr hamein hai ai 'khalid' ke hum dehati hain