nazar ka zaiqa mahnga padega tumhein ye mai-kada mahnga padega mohabbat se milega muft mein hi kharido mat khuda mahnga padega charaghon se tumhaari dosti hai hawa se rabta mahnga padega hawa mein khub udte phir rahe ho zamin se fasla mahnga padega nazriya to hamara bhi wahi hai tumhaara zawiya mahnga padega mukhalif ho na jae ye zamana wafa par tabsira mahnga padega zaruri hai zara si bewafai wafa ka falsafa mahnga padega mohabbat ka safar jokhim bhara hai 'kiran' ye rasta mahnga padega