nazar karo wahdat o kasrat baham shamil hain shishe mein agar shisha hai mahfil mein to ye mahfil hai shishe mein dil-e-nazuk mein aashiq ke nahin hai sakht-jaani ye fusun-e-fikr se utri hui ek sil hai shishe mein na ja tu jam par jamshed ke aa dekh mina ko yahan kaifiyyat-e-har-do-jahan hasil hai shishe mein likha hai apne dil mein nam tera main ne sanat se wagarna harf ka likhna bahut mushkil hai shishe mein nahin hai dagh ye dil mein ki jis se sina raushan hai jo dekha khub to aks-e-mah-e-kaamil hai shishe mein pari-ru shisha-e-dil mein to hai par kyunki dekhun main ki jab dekhun to apna aks hi hail hai shishe mein 'hasan' gar parsa hun main to na-chaari se hun warna nazar hai jam par meri sada aur dil hai shishe mein