safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho kiwad khol ke dekho kahin hawa hi na ho nigah-e-aina malum aks na-malum dikhai deta hai jo asl mein chhupa hi na ho zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi ye shahr jam ke khada hai jo tairta hi na ho na ja ki is se pare dasht-e-marg ho shayad palatna chahen wahan se to rasta hi na ho main is khayal se jata nahin watan ki taraf ki mujh ko dekh ke us but ka ji bura hi na ho kati hai jis ke khayalon mein umr apni 'munir' maza to jab hai ki us shokh ko pata hi na ho