nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana mohabbat mein ise kahte hain hum majbur ho jaana khusha ai dil mudawa un ke zakhmon ka nahin warna kahan har zakhm ki qismat mein hai nasur ho jaana badhana is tarah se be-qarari aur bhi dil ki jhalak ushshaq ko dikhla ke phir mastur ho jaana mohabbat ka hamara daera bas ittibaa tak hai hamein zeba nahin hai sarmad-o-mansur ho jaana nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin hai pahli shart dil ka dard se mamur ho jaana nazar ko tab-e-nazzara rahi hai tere jalwon ki ki lazim to nahin har jalwa-gah ka tur ho jaana tujhe pa lene ka ehsas is ko kahte hain shayad tere aariz ko chhu kar zulf ka maghrur ho jaana hamein kya ras aae baada-o-saghar ki apna to nigahon pe hai un ki munhasir makhmur ho jaana libas-e-khak hi se jab meri sari fazilat hai to kyun-kar zeb hai mujh ko bhala phir nur ho jaana