nazar ke samne husn-e-bahaar rahne de jamal-e-did ko parwar-digar rahne de sawal-e-shauq ka koi jawab ho ki na ho hamare dil mein umiden hazar rahne de na dekh hadd-e-nazar dur tak samundar hai rifaqaten abhi sahil ke par rahne de karam-shiar na the mo'atabar nahin thahre so aaj hum ko zara dil-figar rahne de ye chand roz nae khwab kyon dikhane laga bas ek khwab nigahon pe bar rahne de jo sozish-e-lab-e-jaan mustaqil nawa-gar ho to phir kahan koi gham mustaar rahne de 'nasim' ab to ye mahaul ras aaya hai khuda kare tu ise sazgar rahne de