kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota

kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota
wasi-ul-qalb hona is qadar aasan nahin hota

bichhadte waqt ek aansu pas-e-mizhgan nahin hota
magar ye hausla is dard ka darman nahin hota

judai ka tassur mujh pe kuchh hai aap par kuchh hai
asar har baat ka har shakhs par yaksan nahin hota

mera dil apne hi ehsas ki shiddat ganwa baitha
tumhaari baat ka afsos ab chandan nahin hota

tazad apni tabiat ka mizaj us ki mohabbat ka
har andesha ba-wajh-e-gardish-e-dauran nahin hota

samundar ki tahen aur aasman ki sab haden chhu len
magar insan ko apni zat ka irfan nahin hota

'nasim' apne liye tum ne dua bhi tark kar dali
to kya ab khud se milne ka tumhein arman nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close