nazar ke samne rahna nazar nahin aana tere siwa ye kisi ko hunar nahin aana ye intizar magar ikhtiyar mein bhi nahin pata to hai ki use umr bhar nahin aana ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki jo ja chuka hai use laut kar nahin aana zara si ghaib ki luknat zaban mein lao baghair is ke sukhan mein asar nahin aana har aane wala naya rasta dikhata hai isi liye to hamein rah par nahin aana zara wo dusri khidki bhi khol kamre ki nahin to taza hawa ne idhar nahin aana karun masafaten na-afrida rahon ki mujh aisa baad mein aawara-sar nahin aana