phir marhala-e-khwab-e-bahaaran se guzar ja mausam hai suhana to gareban se guzar ja shishe ke makan aur nazar ke mutahammil diwana na ban shahr-e-nigaran se guzar ja sab qatl ke asbab baham hain sar-e-maqtal aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar ja phir denge wahi mashwara-e-tark-e-mohabbat ahbab-numa halqa-e-yaran se guzar ja kuchh dur nahin manzil-e-maqsud-e-tamanna ek fasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar ja ai 'dil' inhen idrak kahan namratiyon ka jo kahte hain pal bhar mein bayaban se guzar ja