nazar ke samne sahra-e-be-panahi hai qarib o dur mere bakht ki siyahi hai ufuq ke par kabhi dekhne nahin deti sharik rah umidon ki kam-nigahi hai bhara pada tha ghar is ka khushi ke sile se ye kya hua ki wo ab raste ka rahi hai wo zehan ho to harifon ki chaal bhi sikhen hamare pas faqat uzr-e-be-gunahi hai ukhadte qadmon ki aawaz mujh se kahti hai shikast hi nahin ye daimi tabahi hai adad kamin mein hai aage ye kya pata us ko rah-e-farar mein haara hua sipahi hai