bolte bolte jab sirf zaban rah gae hum tab ishaare se bataya ki kahan rah gae hum hamein itni badi duniya ka pata thodi tha jahan hum tum hua karte the wahan rah gae hum hum makan bhi the makin bhi the ki bazar tha garm phir khasara hua aur sirf makan rah gae hum der tak khali makan khali nahin chhodte hain aap tab the hi nahin aap ke han rah gae hum ghar hi aisa tha ye kuchh dohri masahri wala apna rahne ke alawa bhi yahan rah gae hum ek aawaz ke do hisse hue thik hua tum wahan rah gae khamosh yahan rah gae hum panw darzon mein tikae hue sar rakhnon mein is nihan-khane mein rah rah ke ayan rah gae hum