nazar ki qaid mein ab tak salam kis ka tha

nazar ki qaid mein ab tak salam kis ka tha
us ek shakhs ke honton pe nam kis ka tha

hasin lafz hi meri zaban se nikle
mere shuur mein husn-e-kalam kis ka tha

khud apni fikr ke dariya mein dub kar dekho
nigah-e-waqt mein uncha maqam kis ka tha

sabhi the shahr mein patthar ki dastan wale
meri zaban pe ye shirin kalam kis ka tha

tamam rauzan-o-dar par charagh raushan the
tere makan ke andar qiyam kis ka tha

khuda-parast the tum to sabhi ke achchhe the
to phir ye qatl ki sazish mein nam kis ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close