pattharon se dostana kya hua aaj tak hai aaina tuta hua der se suraj jo hai duba hua hai andhera har taraf chhaya hua unchi unchi chimniyon mein aaj bhi dekhta hun main lahu jalta hua teri parwazen bahut mahdud hain aasman hai dur tak phaila hua kyon dayar-e-fikr mein hai tirgi kya ghazal ka 'mir' hai soya hua us ko apni aan thukrana padi main badi mushkil se diwana hua aandhiyon ki zad mein wo bhi aa gaya jo diya tha taq par jalta hua