nazar ko waqf-e-jamal kar ke na zikr kar lutf-e-zindagi ka husul-e-maqsad jahan mein mushkil yahan hua kaun kab kisi ka usi ki ab tak nawa-e-rangin bani hui hai hayat-e-insan sukut-e-paiham ke baad tu ne jo saz chheda tha zindagi ka junun-e-fitrat bhi pal raha tha nuqush-e-hasrat ubhar rahe the nawed-e-ulfat ko sun ke chaunke karam tha shayad ye be-khudi ka kabhi na aankhon se ashk nikle kabhi na shikwa zaban pe aaya yaqin hai tum tadap uthoge kahunga jab haal bebasi ka usi ke sunne ki hai tamanna 'wafa' usi ki mujhe hawas hai nawa-e-ulfat ke sath us ne jo saz chheda tha zindagi ka