na faza-e-ishq mein kaif hai na wo husn-e-jalwa-e-yar hai na tajalliyon mein maza raha na wo zor-e-barq-o-sharar hai na ghata uthi na hawa chali na khalish miti na kali khili ye fareb-e-jalwa-e-zauq hai ye tilism-e-shauq-e-bahaar hai kabhi ashk bais-e-ranj-o-gham kabhi aah maujib-e-sad-alam na ye ashk wajh-e-sukun-e-dil na ye aah wajh-e-qarar hai jo asir-e-ranj-o-alam nahin jo fida-e-ulfat-o-gham nahin na wo qadr-dan-e-jamal-e-gul na wo aashna-e-bahaar hai jo karam hua to sitam nahin jo sitam hua to karam nahin ye ajib maslak-e-husn hai ye ajab ada ka shiar hai na to rut phiri na kanwal khila na wo daur-e-saghar-e-mai chala yahi kah ke bagh se wo utha jo ada-shanas-e-bahaar hai wahi ranj-o-gham hain mujhe 'wafa' wahi soz bhi wahi saz bhi na sukun hai na sukut hai na shakeb hai na qarar hai