nazar koi nahin aata hai mehrban mujh ko dayar-e-ghair sa lagta hai gulsitan mujh ko mujhe to karni hai tamir-e-gulsitan phir se agar sukun se rahne de aasman mujh ko hazar bar zamane ne karwaten badlin mita saki na kabhi gardish-e-jahan mujh ko ajib baat hai jo ham-safar hain sadiyon se samajh rahe hain wahi gard-e-karwan mujh ko yahan na dost kisi ka na koi dushman hai bura ho yas ka le aai hai kahan mujh ko chhupae dost mera aastin mein khanjar tha na ho saka kisi surat bhi ye guman mujh ko jo mere dard ka darman 'nazir' batlata milega ab wo masiha-nafas kahan mujh ko