nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi jo tair-e-fikr hai rahta hai har-dam par-fishan wo bhi zara thahro ki padh lun kya likha mausam ki barish ne meri diwar par likhti rahi hai dastan wo bhi mohabbat mein dilon par jaane kab ye saneha guzra jagah shak ne bana li aur hamare darmiyan wo bhi suno ai raftagan rahta nahin kuchh fasla itna bas ek diwar baqi hai meri diwar-e-jaan wo bhi jahan par na-rasai hi riyazat ka sila thahre hamein dil ne sikha rakkha hai ek kar-e-ziyan wo bhi nae imkan ki jaanib safar mein jab taraddud ho sada kanon mein aati hai sada-e-kun-fakan wo bhi kisi dildar saat mein kisi mahbub lahje ka dikhati hai tamasha aur meri umr-e-rawan wo bhi