kata na koh-e-alam hum se kohkan ki tarah badal saka na zamana tere chalan ki tarah hazar bar kiya khun-e-arzu hum ne jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah sawad-e-shab ki ye tanhaiyan bhi dasti hain ye chandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah tamam shahar hai begana log na-manus watan mein apne hain hum ek be-watan ki tarah khayal-e-dost na hasrat na aarzu na ummid ye dil hai ab kisi ujde hue chaman ki tarah sukun-e-qalb to kiya hai qarar-e-jaan bhi luta tumhaari yaad bhi aai to rahzan ki tarah ajab nahin ki sar-e-shahr-e-arzu 'nadir' hamara dil bhi jale sham-e-anjuman ki tarah