nazar mein jazb shama-e-rukh ka jalwa kar liya main ne dil-e-tarik mein aakhir ujala kar liya main ne wo yaad aae to ek goshe mein chupke chupke ro ro kar dil-e-ranjur ka kuchh bar halka kar liya main ne kabhi jo but-parasti ke maze lene ko ji chaha tasawwur us but-e-kafir-ada ka kar liya main ne jo dil chaha to mastana-khirami ke tasawwur se jahan-e-arzu mein hashr barpa kar liya main ne kisi ke aariz-e-nurin ke jalwe yaad kar kar ke shab-e-gham mein andhere ka sahaara kar liya main ne haden mit jaen taki imtiyaz-e-kufr-o-iman ki jamal-e-yar ko danista sajda kar liya main ne mujhe kya fikr ab ranj-e-judai ki 'anis' aakhir jamal-e-ham-nashin ko dil mein paida kar liya main ne