nazar mein kuchh na thi pahle kabhi tauqir mitti ki farishte dang hain ab dekh ke taqdir mitti ki hazaron neamaten deti hain lekin zarb sah sah kar khuda ne bhi banai hai ajab taqdir mitti ki sunai degi zalim tujh ko tab majbur ki aahen jakad legi tere pairon ko jab zanjir mitti ki ki jaise ped ki har shakh mujh se baat karti hai ki jaise dekhta rahta hun main tasir mitti ki imarat koh-o-sahra ped dariya aadmi sare zamin par basne wale hain magar jagir mitti ki teri puja karenge log ek din dekhna 'atish' bana kar us ne rakkhi hai teri taswir mitti ki