nazar mein shaiba-e-husn-e-yar aa jae jidhar nigah utha dun bahaar aa jae batate hain tere kuche mein meri khair ahbab meri taraf se na dil mein ghubar aa jae meri lahad pe raqibon ne sang-e-rah likha tumhaare dil mein na koi ghubar aa jae musir hain is pe wafaen meri ki ab turbat bagula ban ke sar-e-rah-e-yar aa jae dikha na saqi-e-roz-e-azal mujhe ek din kahin na zindagi bhar ko khumar aa jae jagane qabr pe gar roz-e-hashr wo aaen to lutf-e-gardish-e-lail-o-nahaar aa jae ilahi hans pade dozakh bhi teri rahmat par sametun aag to bagh-o-bahaar aa jae talab to ho dil-e-ashiq se kya nahin mumkin ye gar ba-zid ho to parwardigar aa jae wahin talash karo jalwa-gah-e-naz 'qadir' nazar jahan wo dil-e-dagh-dar aa jae