sahl tha jaan-afrin tanha tumhaare tir ka

sahl tha jaan-afrin tanha tumhaare tir ka
kaam leta hun dil-e-nachiz se iksir ka

kakul-e-jaanan se milna halqa-e-zanjir ka
dekho ab anjam kya ho wahshi-e-dil-gir ka

sath kis aalam mein chhuta gardish-e-taqdir ka
hai asiri ka kahin gham aur kahin zanjir ka

tum hi jaano nawak-e-mizhgan tha kis tasir ka
khun ka rishta magar milta hai dil se tir ka

rahnuma-e-dil dua dete hain tum ko raat din
zikr aksar hota rahta hai tumhaare tir ka

ho chuke hain ghaaliban ab din asiri ke tamam
qaid mein khud bah gaya aahan meri zanjir ka

kohkan aur qais phir wapas bulae jaenge
koh aur sahra mein mansuba hai ju-e-shir ka

husn-e-shirin dekh kar hi mar to jata kohkan
tha magar taqdir mein lana bhi ju-e-shir ka

husn-e-zan kah lijiye ya phir fareb-e-agahi
aur ziyaada kuchh pata chalta nahin taqdir ka

lauh-e-marqad par ye likhwa dijiye hazrat 'qadir'
aakhiri zina hai ye insan ki tamir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close