nazar mein wo utare ja rahe hain muqaddar yun sanware ja rahe hain ai dariya hum tumhaara sath denge jahan tak bhi kinare ja rahe hain jinhen pahle duboya ja chuka hai wahi phir kyun ubhaare ja rahe hain zara namkin pani se suna hai dilon ke zang utare ja rahe hain qayamat jis jagah tuti thi hum par wahin se phir guzare ja rahe hain hilai thi kabhi zanjir hum ne suna hai ab pukare ja rahe hain