junun KHatm hua etidal rah gaya hai

junun khatm hua e'tidal rah gaya hai
biphar raha tha jo dariya nidhaal rah gaya hai

jise dua ke sahaare pe ibtida kiya tha
guzar gaya hai wo mausam wo sal rah gaya hai

tumhaare sard rawayye se saf zahir hai
hamara kuchh to talluq bahaal rah gaya hai

jhatak ke hath chala hai badi hi ujlat mein
zara thahar ki zaruri sawal rah gaya hai

ki dil mein tis bhi uthti hai der der ke baad
tera khayal bhi ab khal-khal rah gaya hai

gaya hai jo bhi use raund kar gaya aakhir
ye bagh-e-khwab-numa paemal rah gaya hai

charagh-e-hijr se ubhri hai ek dhuen ki lakir
so dard bujh gaya hai aur malal rah gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close