nazar mili to nazaron mein bant di main ne ye raushni bhi sitaron mein bant di main ne bas ek sham bachi thi tumhaare hisse ki magar wo sham bhi yaron mein bant di main ne janab qarz chukaya hai yun anasir ka ki zindagi inhi chaaron mein bant di main ne pukarte the barabar mujhe safar ke liye mata-e-khwab sawaron mein bant di main ne hawa mizaj tha karta bhi kya samundar ka ek ek lahr kinaron mein bant di main ne