zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai sanp ke munh mein mujhe meri qaza lai hai aaj mai-khane pe ghanghor ghata chhai hai ek duniya hai ki pine ko umad aai hai zulf-e-shab-rang ka hai aks ye paimane mein ya pari koi ye shishe mein utar aai hai tu bata nawak-e-jaanan teri kya hai niyat khanjar-e-yar ne to sar ki qasam khai hai hur o ghilman meri aankhon mein samaen kyun kar kis mein teri si ada teri si ranai hai kuchh mudawa na hua tum se mariz-e-gham ka kya isi barte pe dawa-e-masihai hai surkhi-e-khun-e-shahidan ki jhalak hai is mein dast-e-qatil pe ghazab rang hina lai hai