nazar milte hi kya kahiye main kya kya dekh leta hun

nazar milte hi kya kahiye main kya kya dekh leta hun
teri aankhon mein tere dil ka naqsha dekh leta hun

chale jaana abhi jaldi tumhein kya pad gai aisi
zara din dekh leta hun mahina dekh leta hun

doi aisi miti aakhir ki ab aaine ke badle
tujhi ko ai but-e-aina-sima dekh leta hun

bas itni baat par mujh se khafa hain khanqah wale
ki main ek do ghadi chal phir ke duniya dekh leta hun

abhi saghar na de mujh ko zara mohtat hun saqi
tere pine pilane ka tariqa dekh leta hun

tumhaara hun magar tum se nahin hun ai chaman walo
koi dam aa ke phulon ka tamasha dekh leta hun

wahi masti bhari aankhen wahi shokhi bhari chitwan
unhen main yaad kya karta hun goya dekh leta hun

badi jurat se go arz-e-tamanna kar raha hun main
magar rah rah ke phir bhi un ka chehra dekh leta hun

tujhe kis tarah chhodun kya karun apni nazar ko main
taghaful mein tere rang-e-taqaza dekh leta hun

bahut ai maut karne ka nahin main intizar un ka
yahi do-chaar din mein aur rasta dekh leta hun

kabhi ab bhi mila un se to ai 'mohsin' tasawwur mein
wo agli sohbaten agla zamana dekh leta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close