wo aaenge bhi mere ghar to aur kya hoga

wo aaenge bhi mere ghar to aur kya hoga
yahi ki dard-e-dil-e-zar kuchh siwa hoga

malal is ka na farmaen ho hi jata hai
suna kuchh aap ne hum se to kuchh kaha hoga

meri bhi rahguzar thi kabhi gali un ki
saba ne naqsh-e-kaf-e-pa mita diya hoga

chhida hua hai fasana koi gulistan mein
hamari un ki mohabbat ka majra hoga

idhar bhi dekhiye lillah sochiye to sahi
hum aae hain jo yahan koi muddaa hoga

hum aur shikwa-e-bedad khair kya kahiye
kisi ne aa ke yahi aap se kaha hoga

kisi ke zikr pe ye bad-gumaniyan tauba
hasin hoga koi lekin aap sa hoga

hamare samne ye chonchle raqibon se
ab un ki bazm mein jo aae be-haya hoga

jo umr aap ke wadon pe kat de apni
wo khaksar nahin koi dusra hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close