nazar-nawaz nazar ka ye zawiya kyon hai numud-e-aks pe hairan aaina kyon hai zaban pe harf-e-anal-haq laraz raha hai kyon junun-e-ishq tazabzub ka marhala kyon hai wahi hai manzil-e-akhir jahan safar aaghaz bandha hua mere qadmon se daera kyon hai hayat-o-maut ka maqsad agar nahin malum shikast-o-rekht ka be-kar silsila kyon hai ye kis ne zahr milaya hai jam-e-hasti mein ab aisa talkh tanaffus ka zaiqa kyon hai nizam aap ka tanzim aap ki jaanan to ab tamasha-e-taftish-e-hadisa kyon hai yahan to jine ko darkar hausla hai bahut dil-e-tabah mein baqi ye hausla kyon hai qadam qadam na hon sayyaad ki bichhi aankhen saja saja meri manzil ka rasta kyon hai faza-e-sher-o-sukhan be-aman hui 'pinhan' dayar-e-zagh-o-zaghan mein ye fakhta kyon hai