tazad-e-fitrat nafas nafas hai kahin mohabbat kahin hawas hai yahin to leti hai ruh sansen ye dil daricha badan qafas hai gulab saat rahe salamat jahan bhi khushbu se rang mas hai main apne khwabon ki rakh hun ab na aag baqi na khar-o-khas hai nazar jo aa na sake wo 'pinhan' agar yaqin hai ki hai to bas hai